Glitter Graphics




Sunday, November 22, 2009

masoom se chehre ka kya kehna
bholi si adaaon ka kya kehna
ankhen jese aik sagar hen
pyasa pyasa sa manzer hen
chehre ki shadaabi kya kehna
honton ki gulaabi kya kehna
uff yeh ankhen sharabi ki kehna
bolay tou yun lagta hay jese
koi badal garaj baraj k barsay
khamoshi uski aysi hay
tufaan ki sadaain deti hay
chal k jab bhi paas ata hay
manzer jese tehar jata hay
saya koi choo jaata hay
uf haye nazazara kesa hay
aandhi ka ishara jesa hay
koi khuwab pyara wesa hay
koi tou sahara aysa hay
ah shehroon ki ghazal ka kya kehna
totay huwe mehal ka kya kehna

kese rahun tere bina





Kese rahun tere bina
kese jiyun tere bina
tu he sakoon
tu he junoon
tu he hay meri aarzo
tuj bin rahun mai baysakun
naa jee sakun na mar sakun
kese jiyun tere bina
kese rahun tere bina
yeh zindagi bhi kya zindagi
bay kaaif se bay rang si

tumhari muskurahat..





tumhari muskurahat mere jeenay ka sahara hay

meri har ada tumhare pyaar ka isharaa hay
mujeh yeh lamha apne jaan se bhi pyara hay
bus is he khuwab mai mene har lamha guzara hay

Friday, October 10, 2008

Bari door tak chali hun mai. . .





Khushion ki dour ko thamay
bari door tak chali hun

Anchal ko dhoop mai dalay
bari door tak chali hun mai

ik aas mai,kisi talaash mai
bari door tak chali hun mai

bheegi palkon mai,shabih teri lay k
bari door tak chali hun mai

pyala mohabbat ka pee ker
piyaas yun he bujhane chali hun mai

baaz aja shehroon,dunia hay bakadar
isi khumar mai bari door tak chali hun mai..

Thursday, August 14, 2008

Kuch is tarah. . .




Kuch is tarah mai tujh mai sama jaaon
kay apni zaat ko tere wajood mai paaon
tou mera aaaina ho jaye.
aur mai sirf tujh mai nazer aaon

Tujhe tot ker chahun. . .


Tujhe toot ker chahun mai is qadar
kay bikhar jayen mere jazbat tere pehlo mai

Tuesday, June 10, 2008

Tumhe chah ker bhii na chaha hum ne. . .


Tumhe chah ker bhi na chaha humne
yeh dard kis kis ko na sunaya humne

bari sadgi se diya wafa ka badla apne
baywafai ko galay laga ker yado mai basaya humne

barishon k mosam tou anay jane hote hen
phir kiu saailab ko dar par tehraya hum ne

jiss pyaar ki wadi ko jalaya aapne
us k her ik gul ko tha sajaya hum ne

taptay sehra mai talaash-e-aab ki tarah
teri mohabbat k liye khud ko tarsaya humne

kisi se shikwa tou ab ker nahi sakte
chalo mout ko he hath yeh thamaya hum ne